Ek kissa mera bhi

24 Likes 1 Comment
  • Save

Woh daur bhi aya safar mein,
Jab manzilein bhi dikhi toh hamsafar mein
Hum do hi toh the uss nagar mein,
Phir yeh teesra kaun aa gaya dagar mein?
Kyun chal raha tha woh tere bagal mein?
Kyun jal raha tha usse magar main?
Kyun pehele na aya woh nazar mein?
Kaheen main hi toh teesra nahi tha iss safar mein?

Pehele to aasman neela hua karta tha
Phir kyun kaale badal chhaane lage?
Khushboo bheji thi maine jin gulabon mein
Ab woh bhi murjhaane lage
Hum umeed unse lagaane lage
Woh nazarein humse churane lage
Dur jaane ka ilzaam tha hum par
Aur woh gairon ko paas bulaane lage

Iss baat par hansee aur halaat par rona aya
Bhare hue dil se palkon ko bhigona aya
Khuli aankhon se sapne toh pehele bhi dekha karte the magar
Bechaini mein bhi chain se sona aya
Kuchh khwaab raat ke andheron mein reh gaye
Kuchh ghaav aankhon se beh gaye
Kuchh baatein hum lafzon se keh gaye
Kuchh kisse the joh dil mein hi reh gaye

Har ankahee baat raaz nahi hoti
Har kisi ki kahaani udaas nahi hoti
Agar dil mil jaye toh jashn-e-ishq
Magar dil toot jaye toh awaaz nahi hoti
Bas khaare dariye behete hain
Chehere maayus rehete hain
Koi khud ki khushi se khudko azaad kar lete hain
Toh kuchh chupchap halaaton ko sehete hain

Sehete hain hum bhi par kehete kuchh nahi
Aage badh chali zindagi dil toh hai waheen
Toota toota sa poochhta hai hamsafar se apne
Kaheen mujhe bhulaya toh nahi?

-sahaSICK

  • Save

You might like

sahaSICK

About the Author: sahaSICK

1 Comment

Leave a Reply

0 Shares 942 views
Share via
Copy link
Powered by Social Snap