Jiyunga kisi din. APNE LIYE!

25 Likes Comment
  • Save

Aankhon mein laakhon sapne liye,
Main soya tha bheegi palke liye,
Ab chaahe yeh neend kabhi na khule,
Magar jiyunga kisi din apne liye.

Aaj mere hi naam kyun sunayi de raha hai?
Maine toh khud ko kho diya tha bheed mein.
Akela hi raha karta tha main, yaad hai?
Phir aaj kyun mere liye itni bheed hai?
Kyun waapas bula rahe hain yeh mujhe?
Kya abhi aur sazaa baaki hai?
Joh aankhon mein nami hai inki,
Khud par sharm hai ya isme bhi koi chalaki hai?
Jao nahi kholta main aankhein,
Nahi muskuraunga kisi ke liye.
Bohot darr liya tumhaare pyaar se,
Jiyunga ab main apne liye.

Pyaar hi dil milata hai,
Pyaar hi dilon ko todta bhi hai,
Pyaar hi hath milata hai,
Phir unn haathon ko chhodta bhi hai.
Yeh itna mushkil kyun hai,
Ke kabhi samajh hi nahi aata?
Khair asaan hi hota,
Toh har kisi se na ho jaata?
Aaj phir kisi ne tere baare mein poochha.
Kya keheta? “Meri jagah par hai koi dooja”.
“Abhi tak baithha hoon umeedein liye.
Jiyunga kisi din apne liye”.

Woh jo peeche khada hai na,
Woh mera yaar hai.
Wohi joh khudko samet raha hai,
Haan, woh mera yaar hai.
Abhi chup hai woh.
Kaheen main na dekh loon.
Ghar jaakar akele mein royega woh.
Mere bina kaise rahega woh?
Zinda hone ka ehesaas usi ke saath tha.
Aakhiri saans tak roya tha main uske liye.
Magar yeh khudagarzi nahi kamzori thi meri.
Aakhir mujhe bhi toh jeena hai apne liye.

Aaj kyun iss andhere par pyaar aa raha hai?
Kyun main iss nashe mein rehena chahta hoon?
Khud apna bhaar uthaya nahi ja raha hai,
Phir bhi kyun hawa mein beheta ja raha hoon?
Ab na koi shikayat hai kisi se,
Na hi kisi aur se pyaar hai.
Jo pehele kisi kaabil nahi samjhte the,
Aaj kandhe par bithhane ko taiyaar hain.
Saansein toh tham chuki hain,
Phir dil dhadak raha hai kiske liye?
Shayad ek umeed saans le rahi hai mujhme,
Jiyunga kisi din apne liye.

-sahaSICK

  • Save

You might like

sahaSICK

About the Author: sahaSICK

Leave a Reply

0 Shares 1.4K views
Share via
Copy link
Powered by Social Snap